Bol Do Dil Ki Bat Hum Tera Raaz Rakhain Gy
Keh Do Aaj Har Aik Baat Hum Tera Raaz Rakhain Gy
Tumko Humse Chaht Hai Ya Nafrat Kia Pata
Kardo Apne Jazbat Ka Izhar Hum Tera Raaz Rakhain Gy
Mat Samjhna Ke Tumko Ruswa Karain Gy Zamany Main
Qasam Hai Humko Tere Pyar Ki Hum Tera Raaz Rakhain Gy
Mat Ghbrao Zamane Ki Uljhnon Se
Bata Do Aaj Har Aik Raz Hum Tera Raaz Rakhain Gy
Uski Chahat Ke Wo Do Lamhe Jaan Leva Thy
Pehla Iqrar E Mohabbat Dosra Inkare E Mohabbat
Dekhli Na Mere Answon Ki Taqat
Subha Se Meri Ankhain Num Then
Aaj Tera Shehar Bheg Raha Hai
Kia Ajab Saboot Manga Us Ne Meri Mohabbat Ka
Mujhy Bhool Jao
To Main Manon Tumhain Mujhse Mohabbat Hai
Kuch Zakham Sadion Bad Bhi Taza Rehty Hain
Tani
Waqat Ke Pass Har Zakham Ki Duwa Nahi Hoti
Main Qasid Kis Tarha Bhejon
Milon Ga Tumse Khud Aa Kar
Tumhain Jo Dekh Leta Hai
Tumhara He Ho Jata Hai
Baqool Unke Wo Humain Be Panah Chahte Hain
Ye Berukhi Dekh Ke To Lagta Hai Wo Sirf Panah Chahte Hain
Zindgi Se Poch Ye Kia Chahti Hai
Bas Aik Uski Wafa Chahti Hai
Kitni Massom Or Nadan Hai Zindgi
Khud Bewafa Hai Or Wafa Chahti Hai
Usy Kehna Na Rafaqtain Badli Hain
Na Tujhse Andaz E Ishq
Tujhy Aaj Bhi Koi Yaad Karta Hai
Kabhi Din Dhale Kabhi Din Charhy
Usko Nafrat Thi Bewafaon Se
Kesy Khud Se Nibha Raha Hoga
Toot Kar Chahne Wale Tujhy Aaj Bhi Chahte Hain
Ye Or Baat Hai Tujhy Ehsas Na Kal Tha Na Aaj Hai
Teri Mohabbat Pe Mera Haq To Nahi Lakin Baat Suno
Mera Dil Chahta Hai Akhri Sans Tak Tera Intzar Karon
Suno Manzoor Hain Ankhoon Main Ansoo Bhi Humare
Agr Aa Jae Honton Pe Muskan Tumhare
Na Karo Takrar Mujhy Tumhara He Khyal Hai
Phir Bat Se Bat Nikle Gi Or Tum Rooth Jao Gi
Mujhy Ahbab Ki Lambi Qataron Se Nahi Matlab
Agr Tum Dil Se Mere Ho To Bas Tum He Kafi Ho
Kun Na Saza Milti Humain Mohabbat Main
Hum Ne Bhi To Bohat Dil Tore Thy Us Shakhas Ki Khatir
Kitni Chahat Se Likha Tha Tera Naam Diwaron Pe
Barish Ke Qatron Ny Choom Choom Ke Mita Diya
Karobar E Ishq Main Faida Bas Itna Huwa
Tujhse Milna Tha Ke Main Or Tanha Huwa
Kal Talak Jin Ke Liye Hum Jam E Sakoon Huwa Karte Thy
Tani
Ajab Hai Unhi Ko Zehar Lagte Hain Ab
In Anjan Rishton Ko Naam De Do
Meri Chaht Ko Koi Bhi Anjam De Do
Chal Aa Phir Miti Se Khelain
Umar He Kia Thi Jo Dilon Se Khail Bethe
Bheer Itni To Nahi Thi Shehar Ke Bazaron Main
Khone Wale Tuny Kuch Dair To Dhonda Hota
Guzre Huwe Lamhon Ki Yadain Sambhal Ke Rakhna
Hum Yaad To Ayen Ge Lakin Lot Kar Nahi
Pata Nahi Ab Mujhe Haq Hai Ya Nahi
Par Teri Parwah Karna Acha Lagta Hai
Moosam Ki Misal Dun Ya Tumhari
Kisi Ne Hum Se Pocha Hai Badalna Kis Ko Kehte Hain
Maloom Bhi Hai Ke Aisa Mumkin He Nahi
Phir Bhi Hasrat Rehti Hai Ke Tum Yaad Karo Ge
Shak To Tha Ke Mohabbat Main Nuqsan Hoga
Yakeen Na Tha Ke Sara Humara He Hoga
Tasali Si Zara Ho Jae Gi Faqat Itna He Batla Do
Mujhy Jo Hichkiyan Aati Hain Kia Tum Yaad Karte Ho
Bholna Chahte Ho To Bhool Jao Ijazat Hai Tumhain
Khushi Hum Ne Dekhi Nahi Ghum Ki Humain Parwa Nahi
Barbad Kar Deti Hai Mohabbat Har Mohabbat Karne Wale Ko
Kun Ke Ishq Har Nahi Manta Or Dil Bat Nahi Manta
Aik Bar Dard E Dil Khatam Kar De Ae Tabeeb
Halaf Deta Hun Dobara Mohabbat Nahi Karonga
Udasiyan Hain Magr Waja E Gham Nahi Maloom
Ke Dil Pe Bojh Sa Hai Shayad Bikhar Gi Hun Main
Aakhir Aisa Tum Ne Kiya Kun
Na Apna Banaya Na Kisi Ka Hone Diya